lab tere lal-e-nab hain donon par tamami itab hain donon rona aankhon ka roiye kab tak phutne hi ke bab hain donon hai takalluf naqab we rukhsar kya chhupen aaftab hain donon tan ke mamure mein yahi dil-o-chashm ghar the do so kharab hain donon kuchh na puchho ki aatish-e-gham se jigar-o-dil kabab hain donon sau jagah us ki aankhen padti hain jaise mast-e-sharab hain donon panw mein wo nasha talab ka nahin ab to sarmast-e-khwab hain donon ek sab aag ek sab pani dida-o-dil azab hain donon bahs kahe ko lal-o-marjaan se us ke lab hi jawab hain donon aage dariya the dida-e-tar 'mir' ab jo dekho sarab hain donon