shab-e-hijran thi main tha aur tanhai ka aalam tha gharaz us shab ajab hi be-sar-o-pai ka aalam tha gareban ghuncha-e-gul ne kiya gulshan mein sau tukde ki har funduq par us ke turfa ranai ka aalam tha nihaal-e-khushk hun main ab to yaro kya hua yani kabhi is bed-e-majnun par bhi shaidai ka aalam tha likhe gar ja o beja sher main ne dar nahin us ka ki main yan tha safar mein mujh pe bejai ka aalam tha hina bhi to laga dekhi pe wo aalam kahan hai ab hamare khun se jo hathon pe zebai ka aalam tha chala jab shahr se majnun taraf sahra ki yun bola nasib apne to is aalam mein ruswai ka aalam tha ye aalam hum ne dekha 'mushafi' han apni aankhon se ki banda ji se us mashuq harjai ka aalam tha