labon par sher aane mein kahan ab der lagti hai ghazal koi sunane mein kahan ab der lagti hai faqat aankhen milane mein kahan ab der lagti hai mohabbat ko badhane mein kahan ab der lagti hai zaban se baat nikli ho wo puri ho na ho sahab qasam yunhi uthane mein kahan ab der lagti hai riwayat ho gai ab to mohabbat karne hone mein kisi ka dil dukhane mein kahan ab der lagti hai ye tanhai udasi ab mera mamul hai yaro do-chaar aansu bahane mein kahan ab der lagti hai nihan baaten hon jitni bhi faqat pakka irada ho haqiqat ko dikhane mein kahan ab der lagti hai zara si aag bhadka kar jala do khud ko phir us mein sabhi sapne jalane mein kahan ab der lagti hai jahan jaana ho na-mumkin magar ab 'shokh' ji hum ko wahan par aane-jaane mein kahan ab der lagti hai