mohabbat mein mere sar par yahi ilzam lazim tha zamane bhar mein ho jaana mera badnam lazim tha sunaun tishnagi ka haal kya zinda hun main ab tak mere honton pe har lamha tumhaara nam lazim tha nichoda hai lahu apna likhe tab sher hain main ne kahin par wazn lazim tha kahin ilham lazim tha hazaron khwahishon ka ghar kharide kaun ab is ko bhare bazar mein dil ka purana dam lazim tha nasha chadhna bhi lazim tha bhari mahfil mein ai logo pila dena wo saqi ka mujhe bhi jam lazim tha bahut arsa hua ab to jahan se 'shokh' ko guzre bahut gustakh tha us ka yahi anjam lazim tha