labon pe harf-e-rajaz hai zirah utar ke bhi main jashn-e-fath manata hun jang haar ke bhi use lubha na saka mere baad ka mausam bahut udas laga khal-o-khad sanwar ke bhi ab ek pal ka taghaful bhi sah nahin sakte hum ahl-e-dil kabhi aadi the intizar ke bhi wo lamha bhar ki kahani ki umr bhar mein kahi abhi to khud se taqaze the ikhtisar ke bhi zamin odh li hum ne pahunch ke manzil par ki hum pe qarz the kuchh gard-e-rahguzar ke bhi mujhe na sun mere be-shakl ab dikhai to de main thak gaya hun faza mein tujhe pukar ke bhi meri dua ko palatna tha phir udhar 'mohsin' bahut ujad the manzar ufuq se par ke bhi