labon pe lala-o-gul ke wo ab hansi na rahi nasim-e-subh ke jhonkon mein tazgi na rahi ye aaj kaisi pilai hai ai mere saqi khudi ka daur gaya aur be-khudi na rahi kiya agarche bahut paemal gardun ne tere sitam ki bhi zalim magar kami na rahi kisi ne ru-e-hasin se naqab kya ulti falak pe chand sitaron mein raushni na rahi zarur aaenge wo ab yaqin hai mujh ko dil-e-hazin mein wo pahli si bekali na rahi na mujh se puchh tu rudad-e-zindagi 'paikan' jahan-e-zist mein koi bhi dilkashi na rahi