na itrao chaman walon hasin phulon ke joban par raha karti hai rangini faqat do roz gulshan par kahan mumkin ki rah jata koi tinka gulistan mein hazaron bijliyan girti rahin mere nasheman par jo aankhon mein rahe wo be-shubah hai be-baha gauhar wo aansu kya hai jo aa jae chashm-e-tar se daman par sata le jitna ji chahe jala le jitna ji chahe tujhe rona padega aa ke ek din mere madfan par kami to kuchh na thi 'paikan' mere shauq-e-shahadat mein na jaane tegh-e-qatil kyon chali ruk ruk ke gardan par