labrez ho chuka hai paimana zindagi ka sun jao ab bhi aa kar afsana zindagi ka jab haal aap hi ne puchha na zindagi ka phir kis ko hum sunaen afsana zindagi ka ab hum hain aur zalim teri gali ke chakkar gardish mein aa gaya hai paimana zindagi ka kya aap sun sakenge rudad-e-yas-o-hasrat kya aap ko sunaun afsana zindagi ka aao ki be-tumhaare dam ruk gaya hai lab par kyon tul kar rahi ho afsana zindagi ka khud mere chaaragar ka chehra utar chala hai ab de fareb mujh ko duniya na zindagi ka aao ki aa rahe hain ab naza ke pasine yani chhalak chala hai paimana zindagi ka tum bhi ho kuchh khajil se mera bhi ruk chala dam kah do to khatm kar dun afsana zindagi ka daman pe gir rahe hain ai 'abr' ashk-e-rangin likhta hun khun-e-dil se afsana zindagi ka