lan-tarani ka batane ke liye raaz mujhe kaun deta hai sar-e-tur ye aawaz mujhe ishq mein aur bhi diwana bana deti hai meri aawaz mein mil kar teri aawaz mujhe ruh aazad thi paband-e-qafas rah na saki ud gaya le ke mera jazba-e-parwaz mujhe main to jata hi tha tang aa ke adam ki jaanib tum ne kyon rok liya de kar ek aawaz mujhe tane sab dete hain mujh ko meri mazlumi ki kis qadar rahm-o-karam par tha tere naz mujhe kaun ab kashmakash-e-zist se de mujh ko najat kar chuka hai mera qatil nazar-andaz mujhe dekhte hi unhen aahen bhi hain fariyaaden bhi 'abr' sab aa hi gae ishq ke andaz mujhe