laDai ho to kaghaz ki sipar se kuchh nahin hota

ladai ho to kaghaz ki sipar se kuchh nahin hota
tumhaari ya kisi ki chashm-e-tar se kuchh nahin hota

ragon mein hai andhera to ye roz-o-shab hi kafi hain
hadis-e-khair se ya harf-e-shar se kuchh nahin hota

koi saat muqarrar hai kahin ek mustajabi ki
kaf-e-afsos se dast-e-hunar se kuchh nahin hota

unhen un ke hawari ham-sukhan badnam karte hain
teri afwah se meri khabar se kuchh nahin hota

kade din katte katte bhi saron ki fasl katti hai
ki dasht-e-karbala mein ek sar se kuchh nahin hota

makan apne makinon se hasin aur khubsurat hain
faqat aaraish-e-diwar-o-dar se kuchh nahin hota

junun ko chahiye ek tesha-e-amal ka mausam
yahan alfaz ke zer-o-zabar se kuchh nahin hota

bahut badh jati hai sanjidgi jab donon jaanib to
siwa afsos ke hasil safar se kuchh nahin hota

'kafil' ek saeban sar par rahe man ki duaon ka
mera nuqsan kisi hasid nazar se kuchh nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close