jo khush hua hai charaghon ka sar qalam kar ke chala na jae mohabbat ko kal-adam kar ke use talash nae manzaron ki rahti hai ujale laya hai tarikiyon mein zam kar ke hawa ki tarah talawwun shiar tha to sahi magar wo shakhs gaya faisle raqam kar ke hamare khwab andheron ke yarghamali hain sipah-e-shab ko sar-e-sham be-alam kar ke ana ke ped pe shayad samar malal ka ho zara sa dekh to lun rabte baham kar ke hawa mein tairte rahte hain aur rukte nahin ye kis ne chhod diya jugnuon ko ram kar ke 'kafil' le ke koi muzhda-e-sahab aaya jab aag ja chuki sab aashiyan bhasam kar ke