ladte hue duniya ki zarurat ke liye hum mar jaenge ek roz mohabbat ke liye hum rakkhe nahin hum se koi ikhlas ki ummid bazar mein baithe hain tijarat ke liye hum daulat na siyasat na qayaadat na hukumat mujrim hain faqat apni jihaalat ke liye hum duniya ke har ek lutf ko hum chhod den waiz itne bhi pareshan nahin jannat ke liye hum hindi ki hifazat ke liye jaise the 'raskhan' waise hi hain urdu ki hifazat ke liye hum aise hi to talwar uthate bhi nahin hai majbur hue honge baghawat ke liye hum jo haal tha pahle wahi hai haal abhi bhi kuchh bhi nahin kar pae mohabbat ke liye hum