koi kitna bhi kahe shad nahin hota hai ek luta dil kabhi aabaad nahin hota hai paida hote hain faqat ishq ki khatir do chaar har koi majnun ya farhad nahin hota hai hota aaya hai sada zakhm hi pahle ijad pahle marham kabhi ijad nahin hota hai zindagi apna sabaq aur zara mushkil kar hum ko aasan sabaq yaad nahin hota hai ab har ek baat pe hota hai faqat wa'da-wa'id ab kisi baat pe samwad nahin hota hai kaise us shakhs pe lanat nahin bheje koi ishq kar ke bhi jo barbaad nahin hota hai aise jallad se hai asl mein khatra sab ko apne peshe se jo jallad nahin hota hai hum mohabbat bhala kya khak karenge jaana hum se to kuchh bhi tere baad nahin hota hai padh lo tarikh jo ek bar hua mulk ghulam phir wo aasani se aazad nahin hota hai