lafz abhi ijad honge har zarurat ke liye sharh-e-rahat ke liye gham ki sarahat ke liye ab mera chup-chap rahna amr-e-majburi sahi main ne kholi hi zaban kab thi shikayat ke liye mere chashm-o-gosh-o-lab se puchh lo sab kuchh yahin mujh ko mere samne lao shahadat ke liye sakht-koshi sakht-jaani ki taraf lai mujhe mujh ko ye fursat ghanimat hai alalat ke liye oxigen se shabistan-e-anasir tabnak muztarib har zi-nafas us ki rifaqat ke liye mar gae kuchh log jine ka mudawa soch kar aur kuchh jite rahe jine ki aadat ke liye aah marg-e-admi par aadmi roe bahut koi bhi roya na marg-e-adamiyat ke liye koi mauqa zindagi ka aakhiri mauqa nahin is qadar tajil kyon raf-e-kudurat ke liye istaqamat ai mere dair-ashna-e-gham-gusar ek aansu hai bahut husn-e-nadamat ke liye koi 'nasir' ki ghazal koi zafar ki mai-tarang chahiye kuchh to meri sham-e-ayaadat ke liye gulshan-abaad-e-jahan mein surat-e-shabnam 'hafiz' hum agar roe bhi to rone ki fursat ke liye