kuchh is tarah se nazar se guzar gaya koi ki dil ko gham ka saza-war kar gaya koi dil-e-sitam-zada ko jaise kuchh hua hi nahin khud apne husn se yun be-khabar gaya koi wo ek jalwa-e-sad-rang ek hujum-e-bahaar na jaane kaun tha jaane kidhar gaya koi nazar ki tishna-e-didar thi rahi mahrum nazar uthai to dil mein utar gaya koi nigah-e-shauq ki mahrumiyon se na-waqif nigah-e-shauq pe ilzam dhar gaya koi ab un ke husn mein husn-e-nazar bhi shamil hai kuchh aur meri nazar se sanwar gaya koi kisi ke panw ki aahat ki dil ki dhadkan thi hazar bar utha su-e-dar gaya koi nasib-e-ahl-e-wafa ye sukun-e-dil to na tha zarur nala-e-dil be-asar gaya koi utha phir aaj mere dil mein rashk ka tufan phir un ki rah se ba-chashm-e-tar gaya koi ye kah ke yaad karenge 'hafiz' dost mujhe wafa ki rasm ko painda kar gaya koi