lafz ka bas hai talluq mere tere darmiyan

lafz ka bas hai talluq mere tere darmiyan
lafz ke mani pe qaem sare rishton ka nishan

pahle chup ki guftugu us ki samajh mein aati thi
bhul baithi hai kahi aur an-kahi donon zaban

lafz khud hum ne gadhe izhaar-e-ulfat ke liye
wasl ki takmil hai mamnun-e-tashkil-e-lisan

ho na gar ulfat to nafrat ho zaruri to nahin
ye bhi ho sakta hai wo ho be-niyaz-e-ashiqan

lab-kusha hon ya ki chup hon dekh kar us ki taraf
hai 'fahim' apne qabile ka samajhta hai ziyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close