aapko ghair se ulfat ho gai

aap ko ghair se ulfat ho gai
han jabhi to mujh se nafrat ho gai

in buton se tark-e-ulfat ho gai
mujh pe khaliq ki inayat ho gai

hijr mein us ke ye wahshat ho gai
apne sae se bhi nafrat ho gai

khwab mein un ki ziyarat ho gai
aaj puri dil ki hasrat ho gai

chaliye jhagdon se faraghat ho gai
jaan apni nazr-e-furqat ho gai

hijr mein mujh pe jo kuchh guzri na puchh
ho gai jo meri haalat ho gai

had teri jaur-o-jafa-o-zulm ki
ho gai o be-murawwat ho gai

ab to wo surat bhi dikhlate nahin
chaar din sahab-salamat ho gai

mujh ko ek din hai bajae ek sal
aap ki duri qayamat ho gai

jaan di nahaq ko main ne hijr mein
muft us but se nadamat ho gai

di ye saqi ne mujhe kaisi sharab
bad-maza meri tabiat ho gai

ghaur se sunte hain ek ek harf wo
dastan-e-gham hikayat ho gai

sach kaha ai dil buton ke zulm se
jaan aajiz fil-haqiqat ho gai

us ke kuche ki gadai ai 'fahim'
mere haq mein baadshahat ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close