lafz ka kitna taqaddus hai ye kab jaante hain log bas baat bana lene ka dhab jaante hain apni pahchan bhala dolte lafzon mein kahan zabt ka nashsha larazte hue lab jaante hain sab ne gul-kari-e-diwar-e-sara hi lekin kitne diwar uthane ka sabab jaante hain shahr wale to hawaon mein ghule zahr ka haal rang taswir se ud jate hain tab jaante hain aap chahen to use josh-e-numu kah lije hum magar barf sulagne ka sabab jaante hain dhup ka aks bhi 'sajjad' faqat saya hai kis tarah din mein sama jati hai shab jaante hain