zinat-e-unwan hai mazmun aalam-e-tauhid ka matla-e-diwan na kyun matla bane khurshid ka ye sawad-e-nama hai ya surma-e-taskhir hai hai bayaz-e-safha ya hai nur subh-e-id ka dair mein hai wo na hai kabe mein aur hai sab kahin talib-e-nazzara ko gar ho saliqa did ka ho jo us ke nam par aaghaz pura ho wo kaam hai bar-arinda wahi har shakhs ki ummid ka jo mila us se use kahta hai aalam mar gaya nam murda rakh diya hai zinda-e-jawed ka lan-tarani hi rahi us shokh ko ushshaq se hausla paida na kis kis ko hua go did ka taza mazmun 'sehr' apni tab-e-mauzun se nikal ho na tu tarz-e-sukhan mein aashna taqlid ka