lafz kuchh aur hain abru ka ishaara kuchh aur

lafz kuchh aur hain abru ka ishaara kuchh aur
ab ke lagta hai ki zalim ka hai mansha kuchh aur

mujh ko malum na tha aisi bhi hoti hogi
zindagi ka tha tasawwur mein to naqsha kuchh aur

yun khamoshi se nahata nahin khun mein apne
ai meri khak-e-watan tujh se hai wada kuchh aur

bad-gumani bhi nahin itni kisi se achchhi
main ne kuchh aur kaha aap ne samjha kuchh aur

aur bhi kitne tariqe the sitam ke raij
zulm dhane ka magar tera tariqa kuchh aur

zulm ki umr bahut lambi nahin hoti hai
sabr se kar lo sitam us ke gawara kuchh aur

khel kuchh aur madari ke abhi baqi hain
chahte bhi hain ki dekhen ye tamasha kuchh aur

zindagi jaisi bhi ho shikwa nahin karte 'danish'
dard-mandon ka hai jine ka tariqa kuchh aur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close