lafz tartib se rakhta hun main tamsil ke sath kaun karta hai bayan falsafa tafsil ke sath ashk paida hua aankhon ki zamin se yak dam aaina tut gaya hijr ki takmil ke sath meri aawaz bahut dur talak jaegi aayat-e-hijr sunaunga main tartil ke sath mere ashaar mein paigham tha duniya ke liye mera diwan bhi rakkha gaya injil ke sath din nikalte hi utarta hai khule pani mein jaane kya rabt hai suraj ka meri jhil ke sath meri jaanib bhi to kuchh tishna-dahan aae gin mera dariya bhi to bahta hai tere nil ke sath raushni zakhm chhupae bhi to kaise aakhir main ne suraj ko shikasta kiya qindil ke sath tu hawas-zad hai ai dost badan ka mara tera kuchh khas talluq hai azazil ke sath un ki parwaz pe aflak 'fida' hota hai ab to shahin bhi udte hain ababil ke sath