phir saba guzri hai dar-e-sehn-e-chaman kya kahna ab talak kanpte hain sarw-o-saman kya kahna zarra-e-khak hun main sail-e-hawadis ke liye aur is zarre mein dil shah-e-zaman kya kahna jism ke hukm se aazad ho jaan chaha tha ruh ke hukm se aazad hai tan kya kahna shahr viran hua gor-e-ghariban ki tarah us pe main aur meri rangini-e-fan kya kahna hai garan tab-e-shahidan pe mazar-o-marqad jism khun-basta hai khud un ka kafan kya kahna lek ye bhi to khule kuchh teri niyyat kya hai nudrat-e-fikr aur andaz-e-sukhan kya kahna aakhirash sahl hua naf-o-zarar ka matlab ab har ek chiz pe chaspan hai saman kya kahna zist ek pal hai faqat dekhiye kya kijiye kya aur is pal mein bhi sad ranj-o-mehan kya kahna is qadar khauf mein hun main ki na nind aawe hai kis qadar khwab mein hain ahl-e-watan kya kahna