lafz to milte nahin izhaar-e-mahsusat ko ab wo samjhen ya na samjhen mere dil ki baat ko dar-haqiqat tur par musa ko sujhi hi nahin warna aankhen jazb kar letin tajalliyat ko meri aage se hata lo ya to ye mubham kitab ya palatne do mujhe auraq-e-maujudat ko hae mat puchho mariz-e-gham ki kaifiyat-e-karb nind kya ghaflat si ho jati hi pichhli raat ko meri aahon mein ba-qaul un ke agar taqat nahin charkh se phir kyun sitare tutte hain raat ko pahle to dil mein khuda jaane kidhar se aa chhupe phir sitam ye hai ubhaara mere mahsusat ko tak raha hai phir koi hasrat se su-e-asman phir kahin jazba na aa jae tajalliyat ko munh andhere jab jahan sota hai mad-hoshi ki nind main suna karta hun saz-e-ruh ke naghmat ko chandni ho ya andheri mujh ko 'talib' wasta main to aafat hi samajhta hun hamesha raat ko