lafzon ka nairang hai mere fan ke jadu se ek ek rang alag kar sakta hun main khushbu se donon pareshan donon bojhal donon hi ghanghor gahra rishta hai baadal ka tere gesu se meri peshani par jhalki mere lahu ki aag raat-dhale kuchh chand sa ugna us ke pahlu se achchhi surat koi achanak samne jab aa jae apni hi ungli kat jati hai apne chaqu se hath ko hath ghani zulmat mein jab na samjhai diya samt mili hai ek aawara tanha jugnu se raat gae jab so jata hai pani gahri nind naghmon ki lahren uthti hain chalte chappu se 'ramz' uthe hain hum bhi sambhaale apna tir kaman hum ko bhi wahshat karni hai aaj ek aahu se