kabhi to multawi zikr-e-jahan-gardan bhi hona tha kabhi to ehtimam-e-sohbat-e-yaran bhi hona tha tawaqqo ke mutabiq hai ye tabdili to hairat kya use mushkil bhi hona tha mujhe aasan bhi hona tha riya-karon pe kal tak jis ke darwaze muqaffal the usi jannat mein jashn-e-fitna-pardazan bhi hona tha kabhi dekha na tha yun hum ne bazar-e-wafa viran to kya is shahr mein qahat-e-kharidaran bhi hona tha abhi tak jo kinare se ba-zahir shant lagta tha usi dariya ko ab tufan pas-e-tufan bhi hona tha bil-akhir hum bhi shab bhar jagte rahne se baz aae dayar-e-hijr mein kuchh wasl ka saman bhi hona tha ye taza bab-e-danai yahan aa kar main shashdar hun jo kal tak the bahut dana unhen nadan bhi hona tha