lafzon ke sitam lahjon ke aazar bahut hain kahne ko to is shahr mein gham-khwar bahut hain kuchh apne hi duniya mein nahin itne ziyaada kuchh un mein se bhi shamil-e-aghyar bahut hain har samt sapere hain jamae hue dere is shahr mein sanpon ke kharidar bahut hain har samt se tufan ki aamad ki hain khabren ab man lo hum log gunahgar bahut hain ek hum hi nahin shahr-e-sitam-saz mein 'atif' be-jurm sazaon ke saza-war bahut hain