wo shakl wo shanaKHt wo paikar ki aarzu

wo shakl wo shanakht wo paikar ki aarzu
patthar ki ho ke rah gai patthar ki aarzu

chhat ho falak to khak udane ko panw mein
sahra mein khinchti hai hamein ghar ki aarzu

zakhmi kiye hain panw kabhi lai rah par
kab kaun jaan paya hai thokar ki aarzu

apni giraft mein liye udta phire kahin
parwaz ko hai kab se usi par ki aarzu

rahti hai mujh mein kab se kunwari hai aaj tak
ek aarzu ke apne swayambar ki aarzu

'akhilesh' kab bujhi hai hawas ki shadid pyas
dariya tamam pi le samundar ki aarzu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close