laga di kaghzi malbus par mohr-e-sabaat apni bashar ke nam kar di hai khuda ne kaenat apni khala ke aar bhi main hun khala ke par bhi main hun ubur ek pal mein karta hun hudud-e-mumkinat apni jiyunga apni marzi se marunga apni marzi se mere zer-e-tasallut hai fana apni hayat apni likhi hai main ne apne hath par tahrir-e-ainda meri apni wirasat hai qalam apna dawat apni main khud par aazmaunga khud apna aakhiri daw khabar hai mujh ko 'sajid' jit ban jaegi mat apni