pahle to ek KHwab tha KHakistar-o-KHawar ke bich

pahle to ek khwab tha khakistar-o-khawar ke bich
ab andheri shab hai hail us ke mere ghar ke bich

hadse jaise hain sab dekhe hue samjhe hue
koi hairani nahin ab aankh aur manzar ke bich

sab sipahi apni apni zat mein masruf the
shahzada ab ke tanha hi lada lashkar ke bich

asr-e-hazir ke siwa bhi kuchh zamane aur hain
kuchh manazir aur bhi hain aasman manzar ke bich

ek ye tarikh hai padhte hain jis ko aaj hum
ek alag tarikh bhi hai ram ke babar ke bich

lo 'qamar'-sahab zamana chaal apni chal gaya
aap itna hi chale bas ghar ke aur daftar ke bich


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close