laga diya meri wahshat ne sab thikane se hawa to darti hai ab khak tak udane se meri nazar se hua ek ghalat shikar hai wo ye tir chuk gaya tha kabhi nishane se ye raqs us ki badaulat hai wahshaton ka yahan wagarna kaun hai waqif mere thikane se talashta tha bahana wo qurb ka mere jo chahta hai bichhadna kisi bahane se wahi thaharta hai unwan kawishon ka meri main us ko lakh bhi rakkhun alag fasane se nazar ke hote hue kuchh nazar nahin aata ye masala hai kisi ke nazar na aane se wo be-wafa bhi hai hissa isi zamane ka gila kiya nahin ye soch kar zamane se