laga hai aisa koi kasa-e-sawali hon ye aankh jaise meri raushni se khali hon ye kya zaruri hai hum sari umr sath rahen nahin ye baat ki qadren ye la-zawali hon na jaane kaun pas-e-chashm mar chuka hoga wo aankhen jaise kisi maqbare ki jali hon sada se hain kisi nadida gunj ki tabe ye bheden sabz pahadon ne jaise pa li hon hai ghati ghati koi zahr-khand chup ho jao na jaane kaun se patthar yahan jalali hon