laga ho dil to KHayalat kab badalte hain

laga ho dil to khayalat kab badalte hain
ye inqalab to ek be-dili mein palte hain

nikal chuke hain bahut dur qafile wale
hamein khabar nahin hum kis ke sath chalte hain

kabhi hamein bhi milao to aise logon se
ki jin ki aankh mein ab tak charagh jalte hain

ye raat aisi hawaen kahan se lati hai
ki khwab phulte hain aur zakhm phalte hain

ruton ne apne qarine badal liye lekin
hamare taur wahi hain nahin badalte hain

ab e'tibar pe ji chahta to hai lekin
purane khauf dilon se kahan nikalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close