laga ke aag bujhane ki baat karte ho phaphule dil mein sajaane ki baat karte ho nahin samajhte meri haalat-e-darun ko tum faqat jo karte bahane ki baat karte ho sunaun main jo kabhi haal apni ulfat ka subut mujh se dikhane ki baat karte ho guzar kar main yahan aaya hun shab-e-zulmat karam na kar ke jalane ki baat karte ho jo puchhta hun kabhi be-rukhi ki main illat bana ke baat banane ki baat karte ho kabhi sitam pe jo bharta hun aah tab bhi to mere lahu mein nahane ki baat karte ho tere huzur mein aaya jo aahan-e-be-bas pinha ke bedi na jaane ki baat karte ho