laga ke dhadkan mein aag meri ba-rang-e-raqs-e-sharar gaya wo mujhe bana ke sulagta sahra mere jahan se guzar gaya wo yun nind se kyun mujhe jaga kar charagh-e-ummid phir jala kar hui sahar to use bujha kar hawa ke jaisa guzar gaya wo wo ret par ek nishan jaisa tha mom ke ek makan jaisa bada sambhal kar chhua tha main ne pa ek pal mein bikhar gaya wo wo sath mere tha jaise har pal wo dekhta tha mujhe musalsal zara sa mausam badal gaya to chura ke mujh se nazar gaya wo wo ek bichhde se mit jaisa wo ek bhulae se git jaisa koi purani si dhun jaga kar wajud-o-dil mein utar gaya wo wo dost sare the chaar pal ke jo chal diye ham-safar badal ke 'sahab'-e-nadan wahin khada hai usi dagar par thahar gaya wo