lagaun hath tujhe ye khayal-e-kham hai kya tera badan koi shamshir-e-be-niyam hai kya meri jagah koi aaina rakh liya hota na jaane tere tamashe mein mera kaam hai kya asir-e-khak mujhe kar ke tu nihaal sahi nigah dal ke to dekh zer-e-dam hai kya ye dubti hui kya shai hai teri aankhon mein tere labon pe jo raushan hai us ka nam hai kya