sabhi ko khwahish-e-taskhir-e-shauq-e-hukmarani hai hamein lagta hai apna dil nahin ek rajdhani hai yahin tahrir hai lamhat-e-sar-basta ke afsane kitab-e-zindagi ke har waraq par ek kahani hai shikast-o-rekht ka manzar meri aankhon mein rahne do mujhe apne hi khwabon ki abhi qimat chukani hai talluq tut jaane se mohabbat mar nahin jati ye wo dariya hai jis mein bas rawani hi rawani hai ye mere ashk-e-awara siyah-raaton mein jugnu hain saja le apni palkon par unhen main zau-fishani hai zara badle nahin hain ganw se hum shahr mein aa kar hamare khun mein zakir wahi saj-dhaj purani hai