lage the gham tujhe kis umr mein zamane ke

lage the gham tujhe kis umr mein zamane ke
wahi to din the tere khelne ke khane ke

na jaane khanda-labi zahr-e-khand kaise hui
wahi hai tu wahi andaz dil dukhane ke

charag jalta hua dur hi se dekh liya
rahe na hum teri mahfil mein aane jaane ke

falak ke pas mohabbat ki ek kiran bhi nahin
zamin kahti hai munh khol de khazane ke

hai shahr shahr wahi jangalon ki virani
mile hain mujh ko shab o roz kis zamane ke

ye qafile ye chamakti hui guzargahen
hain ehtimam bahut dur tak na jaane ke

talash-e-rizq mein hum ne chaman to chhod diya
magar dilon mein hain tinke bhi aashiyane ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close