khak hai mera badan khak hi us ka hoga donon mil jaen to kya zor ka sahra hoga phir mera jism meri jaan se juda hai dekho tum ne tanka jo lagaya tha wo kachcha hoga tum ko rone se bahut saf hui hain aankhen jo bhi ab samne aaega wo achchha hoga roz ye soch ke sota hun ki is raat ke baad ab agar aankh khulegi to sawera hoga kya badan hai ki thaharta hi nahin aankhon mein bas yahi dekhta rahta hun ki ab kya hoga