laghzish pa-e-hosh ka harf-e-jawaz le ke hum khud ko samajhne aae hain ruh-e-majaz le ke hum karb ke ek lamhe mein lakh baras guzar gae malik-e-hashr kya karen umr-e-daraaz le ke hum sham ki dhundli chhanw mein phaile hain sae dar ke sajda karen ki aae hain zauq-e-namaz le ke hum dur ufuq pe ja kahin donon lakiren mil gain aae to the huzur-e-dil naz-o-niyaz le ke hum raat dhali hai chand gum dur jale hain do diye raaz to hai pa kis ke pas jaen ye raaz le ke hum raqs-e-sharar mein kho gae barq ke dil se mil gae lala-o-gul mein khil gae maut ka raaz le ke hum ru-e-sukhan badal gaya badhne lage hain fasle aah-e-sukut munjamid baithe hain saz le ke hum