lagi thi umr parindon ko ghar banate hue kisi ne kyun nahin socha shajar giraate hue ye zindagi thi jo dhutkarti rahi mujh ko main baat karta raha us se muskuraate hue badan tha chur mera hijr ki mashaqqat se so nind aai mujhe dard ko sulate hue koi to us pe qayamat guzar gai hogi ki aap-biti wo rone laga sunate hue ajib nind mein tha khwab-gah-e-hasti ki main is jahan se tere us jahan mein jate hue kahani-go ke har ek lafz mein thi jadugari rula diya tha har ek shakhs ko hansate hue na meri chashm-e-tamanna mein jach saki duniya palat ke dekhta kaise use main jate hue main jal utha tha tere hi khayal ki lau se tujhe khayal na aaya mujhe bujhate hue