tamam khel-tamashon ke darmiyan wahi wo mera dushman-e-jaan yani mehrban wahi hazar raste badle hazar swang rache magar hai raqs mein sar par ek aasman wahi sabhi ko us ki aziyyat ka hai yaqin magar hamare shahr mein hai rasm-e-imtihan wahi tumhaare dard se jage to un ki qadr khuli wagarna pahle bhi apne the jism-o-jaan wahi wahi huruf wahi apne be-asar fiqre wahi bujhe hue mauzua aur bayan wahi