lagta hai in dinon ke hai mahshar-ba-kaf hawa hain sar-ba-kaf charagh to khanjar-ba-kaf hua jab se chaman mein rakkha hai bulbul ne aashiyan shoala-ba-kaf hai barq to akhgar-ba-kaf hawa rukhsar-e-gul ke til se hain hairan khushbuen hai mausam-e-bahaar mein ambar-ba-kaf hua ilm-o-amal se hoti hai kirdar ki parakh elan kar rahi hai ye mahzar-ba-kaf hawa firaun aur abrha jaison se barha har haal hi mein nibti hai lashkar-ba-kaf hawa eajaz sher-e-haq ka dikhane ke waste azhdar ba-kaf hui kabhi khaibar-ba-kaf hawa gulshan mein mustaqil jo thikana nahin mila sahra naward ho gai bistar-ba-kaf hawa diwan-e-be-nuqat se hai tera 'waqar-hilm' kahti hai ahl-e-fan se ye gauhar-ba-kaf hawa