lagta hai zinda rahne ki hasrat gai nahin mar ke bhi sans lene ki aadat gai nahin shayad ki rach gai hai hamare khamir mein sau bar sulh par bhi adawat gai nahin aana pada palat ke hudud o quyud mein chhodi bahut thi phir bhi sharafat gai nahin rahti hai sath sath koi khush-gawar yaad tujh se bichhad ke teri rifaqat gai nahin baqi hai reze reze mein ek irtibaat sa yasir bikhar ke bhi meri wahdat gai nahin