lagta nahin hai dil mera ujde dayar mein ek umr kat gai hai tere intizar mein qaem rahen khuda-ra meri sab ye hasraten dunga jagah inhen bhi dil-e-dagh-dar mein kharon se wasta hamein hain khar hi aziz gul hi to hain jo wazeh hue shakl-e-khar mein patjhad ke mausamon mein hui zindagi tamam aati nazar bahaar nahin hai bahaar mein ruk ruk ke rakh raha hun rah-e-ashiqi mein panw kante bichha diye hain tumhin ne to pyar mein daman bhigo sake mere ashkon mein dhal sake itna lahu kahan hai dil-e-daghdar mein jis khak-e-pa ki khoj mein tu thak gaya hai 'gham' milna hai ek din isi gard-o-ghubar mein