kisi surat muqaddar se pareshani nahin jati

kisi surat muqaddar se pareshani nahin jati
haqiqat wo haqiqat hai ki jo jaani nahin jati

adu ki laghw-goi ne kuchh aisa kar diya barham
hamari saf-sidhi baat bhi mani nahin jati

hamara raaz-e-dil hi kya wo tum par aashkara hai
haqiqat aap ke dil ki magar jaani nahin jati

sar-e-maqtal tadapta dekh kar wo tilmila utthe
sitam ke baad ab un ki pashemani nahin jati

kisi aashiq ke dil se puchhiye sar-garmi-e-ulfat
hazaron mushkilen hon phir bhi jaulani nahin jati

junun-e-ishq-e-kaamil mein ye parwane ki aadat hai
subut-e-ishq-e-kaamil ki wo qurbani nahin jati

jo surat koi bahr-e-ishq mein aai nazar hum ko
kuchh aisi maskh ho jati hai pahchani nahin jati

hamari quwwat-e-bardasht ki parwah kya un ko
sitam karne ki aadat hai sitam-rani nahin jati

are 'gham' mushkilen to ishq ki rahon mein hain lekin
hai in mein kaun kitni sakht gardani nahin jati


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close