lahad se munh chhupa kar roegi bimar ki hasrat wo hasrat uf re hasrat lazzat-e-azar ki hasrat qayamat hai junun-e-shauq-e-afat-kar ki hasrat sar-e-shorida ko mahshar mein hai diwar ki hasrat abhi hai jalwa-e-yakta hijab-e-lan-tarani mein kahan se aa gai hai bich mein takrar ki hasrat kisi ki jaan niklegi kisi ke kaam niklenge mere gham se hai wabasta mere gham-khwar ki hasrat mere gosh-e-tamanna par bhi aakhir rahm farmao ki main hun aur fareb-e-wada-e-didar ki hasrat dil-e-nakaam mitte mitte bhi sau rang laega abhi bazar mein hai garmi-e-bazar ki hasrat badalna karwaton ka qabr mein dekho ki lipti hai kafan ke sath aaghosh-e-visal-e-yar ki hasrat sitam ai garmi-e-andesha misl-e-ruh ghulti hai dil-e-khun-gashta mein tab-e-nigah-e-yar ki hasrat halak-e-shewa-ha-e-bewafai hun samajhta hun na nikli bul-hawas ki aarzu aghyar ki hasrat na chhed ai zauq-e-dard-e-jaankani khamosh rahne de khatak jati hai dil mein tala-e-bazar ki hasrat 'wafa' ek dam ki fursat aur phir ye kashmakash hai hai khayal-e-khwab hai aur dida-e-bedar ki hasrat