lahad se yaad ki ek roz phir uthi aao khuda-na-khasta tum laut kar chali aao khuda-na-khasta main jag uthun achanak phir jo ek din kai raaton ki tum jagi aao khuda-na-khasta main bhul jaun phir tum ko main yaad kar hi na paun jo yaad bhi aao khuda-na-khasta munh pherne lagun tum se jo mere samne har din lagi bandhi aao khuda-na-khasta main dhundne lagun tum ko nazar ke samne jab tum kabhi kabhi aao khuda-na-khasta tum bhi wafa ki baat karo jo apne aap ke mear se giri aao khuda-na-khasta main tum se dur jaane lagun meri taraf ko jo be-sakhta khinchi aao khuda-na-khasta ho jae phir bahaal wo rang qarib 'asir' ke jab ban ke shaeri aao