lati hai subh nur ke paigham roz roz chhidta hai saz-e-gardish-e-ayyam roz roz hoti hai roz roz yahan subh jis tarah hoti isi tarah hai yahan sham roz roz pane ki bhulne ki tujhe waqt-e-marg tak karte rahenge koshish-e-nakaam roz roz aaghaz ikhtitam mein apne wajud ka dekhenge apni aankh se anjam roz roz diwar mein sar apna jo marun to gunjega aata hai zehn mein jo tera nam roz roz har shab ko aansuon mein nahai hui hai aankh dil le raha hai khun mein hammam roz roz