lahja badal ke tujhse na ki guftugu kabhi

lahja badal ke tujh se na ki guftugu kabhi
lekin ye kya ki khul na saka mujh pe tu kabhi

badhte hain tajrabaat bhi umr-e-rawan ke sath
ghatta nahin hai daera-e-justuju kabhi

ab be-niyaz-e-rasm-e-jahan ho gaya hun main
tha aashna-e-lazzat-e-jam-o-subu kabhi

ahd-e-bahaar ho ki khizan ka hisar ho
hota nahin hai band dar-e-arzu kabhi

jis ne mujhe shuur-e-gham-e-mo'atabar diya
'akhtar' wo shakhs aa na saka ru-ba-ru kabhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close