logon ka ek hujum mere aas-pas tha

logon ka ek hujum mere aas-pas tha
jab main safir-e-gulshan-e-hosh-o-hawas tha

tajwiz ki thi jis ne mohabbat mere liye
shayad wo shakhs koi sitara-shanas tha

jab tak charagh-e-alam-e-imkan jale rahe
raushan kitab-e-ishq ka har iqtibas tha

jab tak wo ek zat sharik-e-safar na thi
mera wajud mere liye be-asas tha

rahte the dur dur mere ham-khayal bhi
jab tak mere badan pe ana ka libas tha

jab tak mere lahu mein hararat wafa ki thi
main be-niyaz-e-shiddat-e-khauf-o-hiras tha

kal shab hujum-e-dil-zadagan mein tere liye
auron ki tarah main bhi sarapa sipas tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close